Best Quotes by A.P.J Abdul Kalam
1. Shikar
tak pauchane ke liye taqat chahiye hoti hai, chahe wo Mount Everest ka shikhar
ho ya phir aap e peshe ka.
2. Kya
hum ye jaante hai ki aatm smamaan, aatm nirbharta se aata hai.
3. Chhote-Chhote
sukh ko chhor kar bari uplabhdhiyon ke pichhe samarpit rahiye.
4. English
jaroori hai kyon ki present mein science ke saare kaam English mein hi hai, aur
mera manana hai agle do dashako mein science ke mool kaam hamaari bhasa mein hi
honge, tab hum bhi japaniyon ki tarah
aage badh payenge.
5. God,
hamaare nirmataa ne hamaare brain aur vayaktitav mein ashimit chhamtayein di
hai. Aur hum ishvar ki prathana karate hai tab ye chhamtayein aur bhi vikshit
ho jaati hai.
6. Main
iss baat ko shwikaar karane ke liye teyaar tha ki main kuchh cheese nahi badal
sakata.
7. Mahaan
sapne dekhane waalo ke mahaan sapne hamesha pure hote hai.
8. Agar
hum azaad nahi hai tab tak koi hamaara aadar nahi karega.
9. Aaiye
hum apne aaj ka balidaan kar de taaki hamaare bachon ka kal behtar ho sake.
10. Akaash
ki taraf dekhiye, Hum akele nahi hai saraa universe hamaare liye anukool hai,
aur jab bhi hum sapne dekhate hai uss ko pure karane ke liye saajish karte hai.
11.Insaan
ko kathinaiyo ki zaroorat hoti hai kyon ki saflata ka ananad uthane ke liye ye
sab jaroori hai.
12. Iss
se pehale ki sapne sach ho aapko sapne dekhane honge.
13. Tab
tak larna mat choro jab tak ki apni tai ki hui jagah par na pahunch jao, Jeevan
mein ek lakshay rakho,Lagaatar gyaan prapat karo kari mehanat karo, Aur mahaan
jeevan jeene ke liye dridh raho.
14. Agar
tum sooraj ki tarah chamkana chahate ho to pehale sooraj ki tarah jalo.
15. Humein
haar nahi manani chahiye, Aur na hi mushkilon ko khud ko hraane dena chahiye.
16. Asali
shiksha insaan ke garima ko badhaati hai, Aur usake swabhimaan ko badhaati hai,
Agar har insaan shiksha ke vasatvik arth ko smajh jaaye to wo apne jeevan ke
har field mein aage badh sakata hai.
17. Jab
bache 15,16,17 ke hote hai tab wo sochate hai ki main baraa ho kar engineer,
doctor, ya main chand par jaunga. Aur ab wo ye samay hai jab ki hum apne sapno
ke liye kaam kar ke unhe aakaar de sakate hai aur unhe pura kar sakate hai.
18. Jab
hum mushkilon ka samnaa karate hai tab hum apne andar chhipe sahas ke bhandaar
ko khoj paate hai, jinka humein pta nahi hota ki hamaare andar hi hai.Aur jab hum
asafal hote hai tab humein iskaa ehsaas hota hai,ki sansadhan hamesha se mere
paas hi hai, humein keval unhe khoj kar jeevan mein aage badhana hai.
19. Jo
apne dil se kaam nahi karte, Bas ve haashil karate hai lekin bas khokhali cheese,
Adhoore man se milli safalta aapke ass-paas karvahat paida kar deti hai.
20. Mere
liye nakaratmak anubhav jaisi koi cheez nahi hai.
21. Humein
ek arab desh ke logo jaisa sochana chahiye, naa ki das lakh logo ke desh jaise
sapne dekho.
22. Kissi
student ki sabse vishesh baat question puchhana hona chahiye, Students ko
questions puchhane dijye.
23. Science
manvata ke liye ek khoobsurat gift hai humein isse bigarna nahi chahiye.
24. Ishavar
ki santaan ke roop mein, main mujh mein hone waali har cheez se main baraa hun.
Thanks
for Read
0 comments:
Post a Comment