1. Aap ke karm hi aapki pehchaan
hai, Warna ek naam ke to hazaaro insaan hai.
2. Sapne upload to bahut jaldi
ho jaate hai par download karane mein saari zindagi nikal jaati hai.
3. Insaan uss waqt bahut bewkoof
banata hai jab wo kissi aur ko bewkoof banane ki koshish karta hai.
4. Umar jo dhalane lagi hai,meri
galtiyan apne aap ginane laga hun maffi to mang nahi sakata par unpe pachhatava
karane lagaa hun.
5. Khud ko kabhi bekaar mat
samjhana mere yaar kyonki aapke dwaraa chhore carbon dioxide se hi to per jinda
hai.
6. Usaki kadar karane mein der
mat karna jo iss dour mein bhi tumhe apna waqt deta ho.
7. Koi hamaraa bura karana
chahataa hai to ye usske karmo mein likha jayega, hum kyon kissi ke bare mein
soch kar apna karm aur waqt dono kharaab kare.
8. Meri manzil mere karib hai,
iska mujhe ehsaas hai, ghamand nahi mujhe apne iraado par ye meri soch aur hounsale
ka vishwaash hai.
9. Bewajaa duayein dene waali
bas ek maa hi hoti hai.
10. Chalo zindagi ko zinda dilli
se jeene ke liye ek chhota sa oushool banate hai, roz kuchh achha yaad rakhate
hai aur kuchh bura bhul jaate hai.
11. Rotiya unn ki hi thali se
kurre tak jaati hai jinhe bhukh ka ehsaash
nahi.
12. Rishato ko doulat ke nigahon
se mat dekhana kyunki aksar sath nibhane walaa insaan garib hi hota hai.
13. Per par lagane waale ber bhi
khud hi majboori mein niche girane lage hai, kyon ki beron ko bhi pata lag gya
ki pathar marane waala bachpan to ab mobile mein vayasath hai.
14. Aaj ka gyaan per lagao dil
nahi.
15. Insaan ko insaan dokha nahi
deta balki usako wo umidein dokha deti hai jo ek insaan ki dusare insaan se
thi.
16. Zaroori nahi ki bimaar hone
ke liye bimaar hone ki zaroorat hai aajkal log doosaron ki khushi dekhakar bhi
bimaar par jaate hai.
17. Dekh raha hun, sah raha hun
khaamosh hun kyon ki waqt aayaa nahi abhi.
18. Peeth hamesha majboot rakhani
chahiye kyon ki shabaashi aur dokha dono hi peechhe se hi milate hai.
19. Parkho to koi apna nahi
samjho to koi paraya nahi.
20. Jo dusaro ke chehare par
muskurahat dekhana chahata hai uparwalaa unki muskurahat kabhi nahi chhinta.
21. Kissi chiz ka afsosh mat
karna jo hona hai wo to ho kar hi rahega.
Thanks
for read

0 comments:
Post a Comment