Sorry ki main aaj bahut dino ke baad Post share kar raha
hun, Iss post mein main koi kitaabi, ya kissi ke aur ke nahi bas aapke bare mein
baat karane ja raha hun, bas app yun samajh lijiye ki aap khud se hi rubru hone
jaa rahe hai,
Jab main School mein tha tabhi se diary likhane ka shokeen
hun aur collage mein bhi ye continue
raha, aur bachpan se lekar main ab tak ye manta hun ki zindagi itni bhi
complicated nahi hai jitni ki hamne bana rakhi hai, ye bahut saral aur sidhi hai,par
ab ye hamaare jaane –anjaane kiye gaye kamon, hamaari adaton ke karan humein
mushkil lagati hai.
Aaj collage khatam kiye mujhe 1.5 years ho chuke hai, aur
mujhe ajj apni hi baat par vishwash nahi hota, par puri tarah nahi kyon ki main
manta hun ki iss mein puri tarah se koi jimedaar hai to sirf main, aur mere decision
aur koi nahi, maine bachapan se hi socha tha ki mujhe auron ki tarah race mein shaamil
nahi hona hai.
Apne tution ke students ko main hamesha kehata tha ki apne
ajj mein raho, beeta kal tumhaare hath mein nahi hai aur aane-walaa kal tum
badal nahi sakate par agar Tumane apne ajj ko achi tarah sambhal liya to,
tumhara kal khud-ba-khud sawar jayega, aur ye galat bhi nahi.
Sach Bataiye kya? App sab apne aaj mein jeete hai, yakinan
nahi maximum ya to past ko lekar dukhi hote hai to maximum apne Future ko lekar
dukhi hote hai, Aaj ko to bhul hi gaye hai.Shayad hi app mein se kuchh honge jo
apne aaj mein rehate hai.
Maine hamesha tution ke bachon ko kuchh creative karane, ki
seekh deni chahi , But pta hi nahi lagaa ki kab hum khud apni hi baton ko bhul
gaye aur graduation khatam hone ke baad issi race mein aa shaamil hue, aur khud
ke sapno ko khud ko hi bhul gaye wo kuchh karane ki chaah lagan sab kuchh
khatam ho gya.
Company mein hum 10-12 Ghante kaam kar lete hai ,par jab
apne sapno ke liye kaam karane ki baari aati hai to hum thak jaate hai, khud ke
liye ab waqt hi nahi, pta nahi hum kab aur kaise itane chhote hogaye aur apni
hi jarooraton mein ulajh gaye.
Continue…..

0 comments:
Post a Comment