Kitna jaroori
hai self confidence?
Ek baar ek
teacher ne bacho ko ek swaal solve kane ke liye diya, saare bache swaal karne
mein lag gaye lekin swaal bahut muskil tha jo kissi ke bhi samajh mein nahi aa
raha tha …
ussi class mein do friends the one is Rahul and another is vikash wo
bhi swaal solve karne mein lage hue the but un dono ko bhi swaal samajh nahi aa
raha tha .
Thori der
baad vikash swaal karte-karte presaan ho gayaa use lagne lagaa ki ye swaal
solve nahi hoga, iss mein dimaag laganaa bekaar hai aur ye soch kar uss ne book
band kar diya aur koshish chhor d.
Lekin Rahul
hard working tha ….uss ke anushar agar ye swaal aur hal kar sakte hai to phir
main kyon nahi ?
Swaal mushkil
jaroor hai but iska koi na koi to solution jaroor hoga aur ye soch kar Rahul
swaal solve karne mein lagaa raha ….aur bas thori mehnat ke baad swaal ka jwaab
nikal ayaa .teacher ne sab bacho ke samne Rahul ko sabashi di.
Story bahut
hi chhoti thi but iska meaning bahut hi useful hai “mujh se nahi hoga” ye ek
aissa sentence hai jo ki insaan ko hamesha hi success se door rakhati hai aur
aissa insaan khud mein uljha rehataa hai .
Insaan ka
self-confidence hi wo shakti hai jo safal aur asafal logo mein farq paidaa
karta hai …chahe wo koi exam ho,game ho,ya kuchh aur,
Agar aap apne
self-confidence ko badhanaa chahate hai to sochiye “main kar sakta hun ..
mere
andar bhi wo taqat hai” app apne app se swaal kare,
agar ye sab kar sakte hai
to main kyon nahi kar sakta dusre log bhi hamaare jaise hi hai..unhe bhi din
mein 24-hours hi milte hai. Agar wo safal ho sakte hai to main kyon nahi ho
sakta.
Agar koi
insaan safal hona chahta hai to sabse pealaa kaam khud par vishwaash karna hoga
…khud ko ye vishwaash dilanaa hoga ki main ye kar sakta hun …kyon ki iss duniya
mein kuchh bhi mushkil nahi hai ….insaan ka self-confidence hi unhe mazboot aur
kamzor banataa hai .
Agar app man
mein thaan le to app jaroor safal honge .all the best.
Thanks
for read

0 comments:
Post a Comment